Veero Ka Veer Pratap
Shub din aaya, logon ko hasaya,
Dharti ko sajaya, Mewar ko phasaya,
Maaoon ko kush kiya, pita ko diya uttaradhikari,
Bharat ko diya naya shurveer.
Diwas ko banaya yaadkar,
Rajputane ko diya uska aan baan aur shaan,
9th May 1540 ko janm liya.
Naam mila Pratap Singh.
Mata Jaiwanta Bai, Uday Singh dhajiraj,
Dono ne banaya use dharm raj,
Mata ne diya usse sanskar,
Pita ne sikhaya chalana Talwar.
Ladha yudho ke baad yudh,
Sabse mila Ashirwad,
Yudho ke Ghawo ne di Sahas baar-baar,
Yudh ke baad kiya logo ne Jai jaikar
Dosti hue ek samanth ki putri se, naam tha Ajab Deh
Dil ne chuna usse uska jeewan sangini,
Prem hua dosti ke baad
Dhoom dham hue vivaah ek duje sanng.
Beta hua,
ghar ko banaya Amar,
Socha dono ne aur diya naam Amar,
Pratap ka vivvah hua dusro se
Aur sena badi sath-sath.
Chittor gaya hath se, aaya Udaipur haath mein
Kadha tha dushman dwar pe,
Yudh kiya Pratap aur Akbar ne,
Jeeta Akbar Chittor ko aur haara Pratap Ghar ko,
Isske upranth kada hua Udaipur.
Yudh ke samay kiya kshatriyo ne saka,
Jauhar phir se aaya aur kshatraniyo ko sath le gaya.
Tab pratap ne pran liya, liya ki
“Nahi karega vishram, nahi rahega mahal mein jab tak
nahi milta Chittor vapas”
Sab ne maani baat aur liya yeh pran.
Udaipur chod gaye sab vann,
Hue mruthyu Udai Singh ki, na gaya woh sang.
Bana rana Jagmal iss ke baad,
Na reh saka woh rana ban,
Kyuki bana rana Pratap.
Maaon ne kiya khana band, baccho ko kilaya khub
Kanha ji ke mandir baiti Ajabde karti rahi jeet ki
vishwas
Kanha ne diya usse sahasas.
Beti ne khaya ek roti aur dusri khile mein rakhi
Le chala jungle billi usse khile se
Rone lagi beti iske upranth,
Dekh pratap yeh hua chur-chur.
Likha patra Akbar ko, mila patra Prithviraj se,
Kaha Prithviraj ne patra mein-
“math saumpo Mewar ko, ladho uske kilaf.”
Samjh gaya Pratap aur hua yudh shuru,
Ab sab prasna evam chinth hue.
Ajab si deh vali Ajabdeh hue eeshwar ko pyari,
Hua thukda-thukda pratap,
Ankho ke tare sathane laga,
Tab samjha pratap jeewan aur mruthyu ko.
Thuta hua Pratap aur bade sena vala Akbar aaye
aamne-samne,
Kiya dono ne yudh Haldighati mein,
Naam mila yudh ko Haldighati ka yudh,
Hua pratap ko dukh apne bhai-bandhuwo ko dekh.
Akbar ke hathi ne mara Pratap ko, par laghi usske
ghodi ko,
Chetak ko le chala Pratap apne saath yudh ko,
Laghi chetak ko bachate-bachate Pratap ko,
Dukhi hua Pratap par mila sahas apne Akbar sathi
bhai Shakti se
Ab hue ek rakth beh yudh.
Chittor ko na jeethne ka dukh apne sang rakh Pratap
bina jeewan jeene laga,
Gaye uske pita, mata, uski patni aur sathi Chetak
uske jee ko bikar kar.
Ladte-ladte hue nahi mruthyu uski par chal basa ek
shikar ke vakth.
Maharana ban hue mruthyu uski, diya usse maharana ka
pad sabne.
Tab mila Bharat ko pehla Bharatiya Kranthikari.
Vah lik gaya Bharat ke ithihas ka ek naya panna
shahas ka.
Comments
Post a Comment